Showing posts with label The poetic Me..Hindi... Show all posts
Showing posts with label The poetic Me..Hindi... Show all posts

Aug 2, 2009

Intezaar..


Is raat ke andhere mein,

Jab mudkar maine dekha hai,

Door tak dekha maine

Phir bhi na tumko paaya hai


Ek ajeeb sa darr

Ek ankahi si uljhan

Aise hi bikhre khayalon ne

Mujhko har soon ghera hai


Yaadon ke gehre samandar mein

Aaj phir doobne ko mann karta hai

Tumhaare sparsh ke ehsaas ko

Aaj phir mehsoos karne ko mann karta hai


Tum door toh ho bahut mujhse

Phir bhi saath ka ehsaas toh hai

Chookar mehsoos na kiya toh kya hua

Tumhaari khusboo ka ehsaas toh hai


Is ehsaas ke sahare hi

Lamhon ko bitaye jaana hai

Nazdikiyon ki umeed mein hi

Dooriyon ko jiye jaana hai.

Mar 22, 2009

Pehli Hindi Kavita..:)




PS- This is my first ever attempt at Hindi Poetry Writing.. I don't know how well it has come out but I am happy as I managed this much atleast.:)




In aankhon ke khaare paani se
main khud ko bhigoya karti thi
raat ke khamosh andheron mein
main bikhre khwaab piroya karti thi

Na thi koi aarzoo dil mein
na sapne dekha karti thi
bus yun hi tanha raahon mein
main khud ko khoja karti thi

Phir jaane kahaan se yun hi
tumne aakar thaam liya
aur pal bhar mein hi is dil ne
tumko apna maan liya

Haan kal hi toh baat hai yeh
tum ajnabi the in raahon mein
aur aaj yeh aalam hai ki
bus tum ho meri chaahon mein

Tumko paaya toh dil ne jaana
ab aur koi isko chaah nahin
haath tumhara thaama maine
rahenge ab hum saath yahin

Haan mujhko lagta hai yeh
kabhi toh kuch accha kiya hoga
tabhi mere haathon ki lakeeron mein
kisi ne tumhe likh diya hoga